Pages

Monday, 14 November 2011

maai


Maa Meri Maa

Maa, Impala pe ghumaunga zaroor
Gadi banate bhi na honge ab wo
Par dhoondh ke launga zaroor
Impala pe ghumaunga zaroor

Kya kahun,
Tumse kehne ki zaroorat nahi
Jab jab ghabda jaate hain
Saath chali aati ho
Door rehke bhi ,
paas gungunati ho

Thodi thodi sardi lagti
Naak se jo behta pani
Chinta karti tum kehti
Kyu karte yeh nadani ho

Bada banane ko mujhe
Door jo bheja tumne
Khud tadapati rehti harwaqt
Aur sunati harroz ek kahani ho

Maa, tum fikar karo nahi
Ham rahenge bilkul ache
Jee lo jeevan khud ke liye
Par ham jaante hain
Ki jeevan toh hain tumhare bache

Babu babu kahke hamein
Bulati jab bhi bhi tum
Lagata ki so jaun us aanchal mein
Na jaun kabhi usase door

Ab  impala toh dhundhna hai
Milega toh zaroor
Tum bas dhyaan rakho apna
Impala pe hain ghumayenge zaroor


tumhara lalbabuaa
sunny!

No comments:

Post a Comment