Pages

Sunday, 9 October 2011

Kaho na..




kaho
kya meri duniya mei tumhe rang kam dikhe?
haan mat bolna.
sawaal nahi tha|

duniya meri itni bhi kali na thi jo tumhe veeran si lagi,
gulal si bikharti zindagi ke palon ko
muskurate hue jiya hai maine,
holi ke bhang si har ek ahsas ko
piya hai maine.
afsos par, ki tum
ek bhi rang na dhoondh paaye.

are buddhu! nazar toh daudao zara
rang kaha na milenge,
bahane na banao|
pata hai ki tumhe pata nahi
mujhme hai umadti bhavnayein kaisi.
sach kahun toh mujhe bhi pata nahi|

par rang ki ek chata 
zaroor bikhari hai,
abhi abhi,
tumhi ne toh bikheri hai...
par tumko  toh dikhta nahi
lekin nahi,
meri duniya mei rang
hain kam nahi...


Aditya